Jahanzeb Sahir

yahi nahin hai ki shanon se KHun bahta hai

Jahanzeb Sahir

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1983
yahī nahīñ hai ki shānoñ se ḳhuun bahtā hai
abhī to apnī miyānoñ se ḳhuun bahtā hai
vo gaal surḳh hue hoñ to yuuñ lageñ jaise
safed reshmī thānoñ se ḳhuun bahtā hai
ye ḳhāmushī vo balā hai ki chīḳh uTThe agar
to sunñe vāloñ ke kānoñ se ḳhuun bahtā hai
hamāre ḳhvāb paTakte haiñ yuuñ hamāre sar
tamām raat sirhānoñ se ḳhuun bahtā hai
vo jañg jiit ke ūñToñ kā ruḳh badalne lage
abhī to un kī machānoñ se ḳhuun bahtā hai
ye apne daur ke sab se baḌe munāfiq haiñ
isī liye to zabānoñ se ḳhuun bahtā hai
tamām vaqt guzartā hai zaḳhm sahlāte
tarah tarah ke bahānoñ se ḳhuun bahtā hai
hameñ to ilm sikhāyā nahīñ hai thoñpā hai
hamāre ilmī ḳhazānoñ se ḳhuun bahtā hai
na jaane kitne zamāne guzar ga.e sāhir
na jaane kitne zamānoñ se ḳhuun bahtā hai
Top Urdushayar.com