Jahanzeb Sahir

hum aise log kahan manzilon ko pate hain

Jahanzeb Sahir

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1983
ham aise log kahāñ manziloñ ko paate haiñ
ham aise log faqat rāste banāte haiñ
ye tere jism ko chhū kar pata chalā hai mujhe
ki narm phuul bahut jald suukh jaate haiñ
ye kaam hijr meñ bid.at shumār hotā hai
magar ye dekh ki ham phir bhī muskurāte haiñ
tirā to ḳhair koī tujh se duur hī na gayā
tujhe ḳhabar hī nahīñ saañs kaise aate haiñ
nazar na ā.eñge tujh ko ġhubār uḌne de
tire liye jo mujhe raah se haTāte haiñ
tumhāre ḳhvāb ġhanīmat haiñ bujhtī āñkhoñ ko
magar ye ḳhvāb hameñ niiñd se jagāte haiñ
ye kaun baaġh meñ 'sāhir' dikhā.ī dene lagā
ki phuul peḌ parinde ḳhushī manāte haiñ
Top Urdushayar.com