lage hue the sabhī shor hī machāne meñ
jabhī to der lagī aag ko bujhāne meñ
vagarna mujh se koī kaam hī na ho paa.e
kuchh aisī barkateñ haiñ tere muskurāne meñ
ajiib saa.e sukūnat kiye hue the yahāñ
baḌā sukūn milā hai ye ghar jalāne meñ
bachā sakā na tirā ishq dukh to hai lekin
lagā huā huuñ maiñ ab naukrī bachāne meñ
jo ho sake to mire hijr meñ izāfa kar
ki mujh se der huī tujh se dil lagāne meñ
bahā ke le gayā dariyā tamām bastī ko
magar ye log rahe kashtiyāñ banāne meñ
mire makāñ ke añdheroñ ko kaun samjhā.e
ḳhushī milī jo havā ko diyā bujhāne meñ
jo naam ham ne kamāyā hai ishq meñ 'sāhir'
janāb-e-qais ko sadiyāñ lagīñ kamāne meñ