Jahanzeb Sahir

nind se mujhko jagata hai chala jata hai

Jahanzeb Sahir

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1983
niiñd se mujh ko jagātā hai chalā jaatā hai
vo mire ḳhvāb meñ aatā hai chalā jaatā hai
aur meñ Tek haTātā nahīñ darvāze se
ishq āvāz lagātā hai chalā jaatā hai
chheḌ vo raag lahū aañkh se nikle dil kā
to bhī kyā giit sunātā hai chalā jaatā hai
merā kirdār kahānī meñ faqat itnā hai
koī rotā huā aatā hai chalā jaatā hai
roz-e-avval kā thakā haarā musāfir ik din
bojh kāñdhoñ se girātā hai chalā jaatā hai
ek tabqa to ka.ī nasl se is duniyā se
ḳhvāb āñkhoñ meñ sajātā hai chalā jaatā hai
tujh ko ma.alūm nahīñ terī talab kā lamha
kitnī sadiyoñ ko miTātā hai chalā jaatā hai
jis tarah se ye zamīñ ghuum rahī hai sāhir
baat aise vo ghumātā hai chalā jaatā hai
Top Urdushayar.com