Jahanzeb Sahir

tu mere sath hatheli uTha nikal aae

Jahanzeb Sahir

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1983
tū mere saath hathelī uThā nikal aa.e
koī duā na sahī bad-duā nikal aa.e
kabhī-kabhār use chuum leñ to mumkin hai
hamāre muñh se bhī shukr-e-ḳhudā nikal aa.e
ḳhabar kī taak meñ baiThe hue to chāheñge
kisī tarah se koī vāqi.a nikal aa.e
yahī to dukh hai qabīla bhī ḳhāndān thā ek
magar mizāj hī apne judā nikal aa.e
mare huoñ kī talāshī meñ ho bhī saktā hai
kisī kī jeb se us kā pata nikal aa.e
uThā rahā huuñ yahī soch kar ziyāñ pe ziyāñ
kisī kī ḳhair kisī kā bhalā nikal aa.e
mujhe ḳhabar hai ki ye log lauT jā.eñge
agar yahāñ se koī rāsta nikal aa.e
nayā safar ho mubārak magar karoge kyā
vahāñ bhī aisī hī āb-o-havā nikal aa.e
nikal rahā huuñ maiñ us dil se is tarah 'sāhir'
ki jaise kaaT ke qaidī sazā nikal aa.e
Top Urdushayar.com