kisī ke dukh pe agar ham malāl karte haiñ
ajiib log haiñ ulTā savāl karte haiñ
kabhī kabhī to use phūñkne ko jī chāhe
vo ghar ki jis kī bahut dekh bhaal karte haiñ
tumhāre saath nahīñ mas.ala ye shukr karo
jo tum ko dekh ke sāñseñ bahāl karte haiñ
tumheñ bikharte hue phuul achchhe lagte the
so apnī zaat ko ham pā.emāl karte haiñ
bhalā ho shahr-e-sitamgar tire makīnoñ kā
ye marne vāloñ kā kitnā ḳhayāl karte haiñ
tumhārā hijr ġhanīmat hai aise mausam meñ
tumhāre vasl ke lamhe niDhāl karte haiñ
vo jin ko Thiik se aatā nahīñ hai kaam koī
kamāl hai ki vo 'sāhir' kamāl karte haiñ