Jahanzeb Sahir

baDe KHulus se apna bana liya tha mujhe

Jahanzeb Sahir

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1983
baḌe ḳhulūs se apnā banā liyā thā mujhe
tumhāre hijr ne zinda bachā liyā thā mujhe
yaqīn jaan bahut Dar gayā thā us din jab
gale se tū ne achānak lagā liyā thā mujhe
bichhaḌ ga.e haiñ to saarā qusūr hai terā
ki tū ne sar pe jo itnā chaḌhā liyā thā mujhe
maiñ itnī der kahīñ baiTh hī nahīñ saktā
kisī ne haath pakaḌ kar biThā liyā thā mujhe
jo is tarah se mujhe ḳharch kar rahā hai tū
ye chand roz meñ kitnā kamā liyā thā mujhe
mujhe ḳhushī hai suhūlat se ab marūñgā maiñ
ki ek baar to us ne bachā liyā thā mujhe
vo sard shaam vo bārish vo lāpatā yādeñ
kisī ne shaal meñ 'sāhir' chhupā liyā thā mujhe
Top Urdushayar.com