Jahanzeb Sahir

pesh-KHema ye kisi ek musibat ka nahin

Jahanzeb Sahir

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1983
pesh-ḳhema ye kisī ek musībat kā nahīñ
dukh hai kuchh aur mirī jaan masāfat kā nahīñ
ham mazāfāt se aa.e hue logoñ kā miyāñ
mas.ala rizq kā hotā hai mohabbat kā nahīñ
jism kī jiit koī jiit nahīñ mere liye
ye vo sāmān hai jo merī zarūrat kā nahīñ
thoḌī koshish se hī aa jaatī hai ab niiñd mujhe
is kā matlab hai ki vo merī tabī.at kā nahīñ
ye to ḳhud chal ke nishāne pe lage haiñ tere
daḳhl is meñ to koī terī mahārat kā nahīñ
roz dariyā meñ jo ik phuul bahā detā huuñ
ye kisī dukh kā ishāra hai aqīdat kā nahīñ
ham haiñ haare hue lashkar ke sipāhī 'sāhir'
fā.eda ham ko kisī kī bhī himāyat kā nahīñ
Top Urdushayar.com