matā-e-dard ma.āl-e-hayāt hai shāyad
dil-e-shikasta mirī kā.enāt hai shāyad
bas ik naqāb thī vo sub.h-e-nau ke chehra par
ham is fareb meñ uljhe ki raat hai shāyad
ḳhirad kī had bhī milī hai junūn par aa kar
junūn qahr-e-ḳhirad se najāt hai shāyad
ye ik ḳhalish ki musalsal satā rahī hai mujhe
ki lab vo kāñpe haiñ kyuuñ koī baat hai shāyad
unheñ gumāñ ki mujhe un se rabt hai 'sālim'
mujhe ye vahm unheñ iltifāt hai shāyad