vaqt ke saath na.ī soch meñ Dhal jaate haiñ
ham vo sikke haiñ jo har daur meñ chal jaate haiñ
itne mānūs hue mujh se mire ghar ke charāġh
shaam hote hī mujhe dekh ke jal jaate haiñ
dekh letā huuñ jo kuchh der tirī āñkhoñ ko
terī āñkhoñ se mire ḳhvāb badal jaate haiñ
ik takalluf meñ lihāfoñ kā sahārā le kar
āstīnoñ meñ chhupe saañp bhī pal jaate haiñ
vaqt kab haath se jaatā hai kisī ke 'sāhir'
vaqt ke haath se ham log nikal jaate haiñ