Aasi Faiqi

us shoKH se milte hi hui apni nazar tez

Aasi Faiqi

us shoḳh se milte hī huī apnī nazar tez
hai mehr-e-daraḳhshāñ kī shuāoñ kā asar tez
vo peḌ jo tezāb se sairāb huā thā
us peḌ kā hone lagā har ek samar tez
vo manzil-e-maqsūd pe pahuñchegā yaqīnan
jo raah meñ chaltā rahe be-ḳhauf-o-ḳhatar tez
detā hai jidhar un ko mafād apnā dikhā.ī
arbāb-e-havas shauq se baḌhte haiñ udhar tez
be-nūr na kar jaa.e fasādāt kī āñdhī
lau ghar ke charāġhoñ kī zarā aur bhī kar tez
āsār qayāmat ke nazar aate haiñ 'āsī'
is daur meñ dekhā gayā har ek bashar tez
Top Urdushayar.com