Mukhtar Ahmad Kausar

buland barq ke aage bhi hausla rakhna

Mukhtar Ahmad Kausar

buland barq ke aage bhī hausla rakhnā
jale jo ek nasheman to dūsrā rakhnā
jo āzmānā ho mujh ko to phir mire aage
ḳhum-o-surāhī nahīñ saarā mai-kada rakhnā
vo sach kī khoj meñ kis kis kā dekhtā chehra
jo ḳhud hī bhuul gayā saath aa.ina rakhnā
kahīñ ugā ho vo gulshan ho yā ki sahrā ho
hamesha phuul kī ḳhushbū se vāsta rakhnā
diloñ ke beach meñ dīvār tānne vaalo
khulī havā meñ nikalne kā rāsta rakhnā
vo ajnabī ki shanāsā ho ye ḳhayāl rahe
milo jo us se to thoḌā sā fāsla rakhnā
sa.ūbatoñ se jo dil TūTne lage 'kausar'
nazar ke sāmne tasvīr-e-karbalā rakhnā
Top Urdushayar.com