asar dekhā duā jab rāt-bhar kī
ziyā kuchh kuchh hai tāroñ meñ sahar kī
hue ruḳhsat jahāñ se sub.h hote
kahānī hijr meñ yuuñ muḳhtasar kī
taḌap uTThe lahad meñ sone vaale
zamīñ kī samt yuuñ tum ne nazar kī
sahar ko maut kī māñgī duā.eñ
duā maqbūl hotī hai sahar kī
ye bijlī hai ki ai abr-e-shab-e-hijr
hai dhajjī ek dāmān-e-sahar kī