Mateen Sarosh

husn-e-farogh-e-shab hai zaKHm-e-jigar hamara

Mateen Sarosh

husn-e-faroġh-e-shab hai zaḳhm-e-jigar hamārā
har-chand muntazir hai bām-e-sahar hamārā
ahbāb ko mubārak ye shauq tīrgī kā
hai zauq raushnī kā zād-e-safar hamārā
kyuuñ bā.is-e-alam hoñ ye ḳhūñ-chakāñ jabīneñ
thā ibtidā se dushman vo sañg-e-dar hamārā
karte jo ham kinārā us dānish-o-hunar se
ishrat-garoñ meñ hotā shāyad guzar hamārā
parvarda-e-havas jo husn-e-yaqīñ bhī hotā
ye karbalā-e-daurāñ hotā na ghar hamārā
kyā kyā hai naaz ham ko is baḳht-e-nā-rasā par
sidq-o-safā se rishta hai mo'atabar hamārā
dekheñ 'sarosh' vo bhī is manzar-e-hasīñ ko
jalvoñ kī aabrū hai zaḳhm-e-jigar hamārā
Top Urdushayar.com