Mateen Sarosh

aawargam-e-sahra ku-e-sanam na DhunDen

Mateen Sarosh

āvārgām-e-sahrā kū-e-sanam na DhūñDeñ
jalvoñ kī vo bahāreñ zulfoñ ke ḳham na DhūñDeñ
ai shahr-e-sañg tujh meñ zaḳhmoñ kī kyā kamī hai
teġh-e-adā-e-jalva behtar hai ham na DhūñDeñ
vo ābrū-e-vahshat laa.eñ to ab kahāñ se
vo jannat-e-tamannā vo dasht-e-ġham na DhūñDeñ
hāsil na hogā kuchh bhī juz dāġh-o-dard-e-ibrat
ahl-e-vafā hamārā naqsh-e-qadam na DhūñDeñ
maqsad hai sirf itnā va.adoñ kī chāñdnī kā
ḳhvāb-e-sahar to dekheñ ta.abīr ham na DhūñDeñ
ham be-niyāz guzre shohrat kī sāzishoñ se
nām-o-nishāñ hamārā ahl-e-qalam na DhūñDeñ
jaañ dī 'sarosh' ham ne rāh-e-ḳhulūs-e-ġham meñ
fard-e-amal hamārī dair-o-haram na DhūñDeñ
Top Urdushayar.com