zindagī ke saaz par jalte hue naġhmāt haiñ
raqs-farmā sho.ala-e-dil kī tarah zarrāt haiñ
haiñ bagūloñ kī tarah tār-e-nafas bahke hue
zindagānī kī junūñ-parvar sabhī āyāt haiñ
nāz-farmā jin kī tābānī pe thī aql-e-bashar
aaj vo ḳhurshīd-o-anjum kitne kam-auqāt haiñ
ham ki the dildārī-e-mauj-e-havādis par nisār
shor-e-tūfāñ se ayādat dil-nashīñ jazbāt haiñ
jin ko rakhtī thī mo.attar terī yādoñ kī shamīm
teġh kī jhankār meñ gum vo hasīñ din-rāt haiñ
vaqt kī mehrāb meñ ik sham-e-nau raushan kareñ
rāzdān-e-ārzū ham vāris-e-āfāt haiñ
kaun DhūñDe garmī-e-ruḳhsār-e-ḳhūbāñ ai 'sarosh'
ātish-e-paikār se sho.ala-fagan jazbāt haiñ