jo ma.abad meñ diyā jalāne aatī thī
vo laḌkī kyuuñ añdhiyāroñ kī nazr huī
vo jis ne ashkoñ se haar nahīñ maanī
kis ḳhāmoshī se dariyā meñ Duub ga.ī
ret pe mere aur tumhāre qadmoñ kī
ik tahrīr thī so vo dariyā-burd huī
lafzoñ ke shahzāde kā rasta dekhe
jañgal meñ rahne vaalī bholī laḌkī
terī muḳhbir terī hī hamrāz kanīz
merī dushman merī ek sahelī thī
bhuuk hī paale apnī kokh meñ merī maañ
bāñjh duā.eñ mehnat vaale hāthoñ kī
vo ghar jis ke taaq meñ diyā na thā lekin
sehn meñ ek kunDārī rakkhī rahtī thī