havā.eñ jab ghanTiyāñ bajā.eñ to lauT aanā
kisī kī āñkheñ diye jalā.eñ to lauT aanā
bahut dinoñ tak ye mausam-e-gul nahīñ rahegā
jo shāḳh-e-jāñ par gulāb aa.eñ to lauT aanā
havā daraḳhtoñ se jab gale mil ke ro rahī ho
parind lambe safar pe jaa.eñ to lauT aanā
jo zid pe aa jaa.e dil to us kī bhī maan lenā
purānī yādeñ bahut satā.eñ to lauT aanā
firāq kī aag chaaT jaatī hai jism-o-jāñ ko
jo sun sako vaqt kī sadā.eñ to lauT aanā