Ishrat Afreen

dur dur sahra hai

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
duur duur sahrā hai
aur dil akelā hai
lafz lafz patthar haiñ
zaḳhm zaḳhm rastā hai
koh-e-jāñ uThā.e huuñ
bojh merā apnā hai
zard zard haiñ kaliyāñ
aur baaġh mahkā hai
din ko mat kaho qisse
koī raah bhūlā hai
maiñ ki ishq-e-pechāñ huuñ
tū shikasta chhajjā hai
kyuuñ ḳhamosh hai sabza
zahr pī ke soyā hai
madrase kī īñToñ par
sab kuchh ab bhī likkhā hai
Top Urdushayar.com