sā.īñ mere khetoñ par bhī rut hariyālī bhejo naañ
sakhī parindoñ kī chahkāreñ gītoñ vaalī bhejo naañ
ek ik kar ke panchhī uḌte jaa.eñ Thor-Thikānoñ se
bhuuk uḌe khaliyānoñ meñ rut bājre vaalī bhejo naañ
chikne-mukne āñgan māñgeñ roz duā.eñ parindoñ kī
kabhī to un kī duā suno aur bharī kunDalī bhejo naañ
alganiyoñ alganiyoñ phailī rañg-birañgī añgiyoñ ko
lahreñ lete jism aur hañste mukh kī laalī bhejo naañ
sukhī raheñ vo haath jo Daliyā bunte kabhī nahīñ thakte
sandesa us maañ ko jis kī aatmā ḳhālī bhejo naañ
bajre dariyā paar ḳhazāne apne Dho le jaate haiñ
sar aur tan kī judā judā ab ke rakhvālī bhejo naañ
sā.īñ raat kī raat ye bastī maqtal kyoñ ban jaatī hai
ab jis raat bhī ḳhanjar nikleñ āñdhī kaalī bhejo naañ