Ishrat Afreen

main phul phul safar kar rahi thi KHwabon ka

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
maiñ phuul phuul safar kar rahī thī ḳhvāboñ kā
phuvār laa.ī thī tohfa na.e gulāboñ kā
mile to qurb kā vo e'timād hī na rahā
bhalā thā us se to mausam vahī hijāboñ kā
vo zaḳhm chun ke mire ḳhaar mujh meñ chhoḌ gayā
ki us ko shauq thā be-intihā gulāboñ kā
vo jañgaloñ se nikāle hue ġharīb parind
jahāñ ga.e unheñ maskan milā uqāboñ kā
har ek pūchhtā phirtā hai phir na kuchh ta.abīr
ki jaise shahr meñ melā thā raat ḳhvāboñ kā
maiñ jo bhī kuchh huuñ ye sachchā.ī merī apnī hai
tamām jhuuT thā likkhā huā kitāboñ kā
Top Urdushayar.com