Ishrat Afreen

jaane kya aaseb tha patthar aate the

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
jaane kyā aaseb thā patthar aate the
raat ga.e kuchh saa.e chhat par aate the
sub.h vo kyārī phūloñ se bhar jaatī thī
tum jis kī beloñ meñ chhup kar aate the
maiñ jis raste par niklī us raste meñ
sahrāoñ ke beach samundar aate the
chāñd kī dhīmī dhīmī chaap ubharte hī
saare sapne phuul pahan kar aate the
is se merī ruuh meñ utrā hī na gayā
raste meñ do gahre sāgar aate the
ḳhvāboñ ke yāqūt se poreñ zaḳhmī haiñ
raas mujhe kab aise zevar aate the
Top Urdushayar.com