purāne mohalle kā sunsān āñgan
mujhe pā ke thā kitnā hairān āñgan
ye tahzīb ko paañv chalnā sikhā.eñ
sameTe haiñ sadiyoñ ke imkān āñgan
vo dīvār se jhāñktī shoḳh āñkheñ
vo pahre pe būḌhā nigahbān āñgan
koī jast meñ paar kartā hai chaukhaT
kisī ke liye ik bayābān āñgan
kisī ke liye pāya-e-taḳht hai ye
kisī ke liye ek zindān āñgan
sunā rafta rafta khañDar ho rahe haiñ
vo ābād galiyāñ vo gunjān āñgan
kidhar jaa.eñ tahzīb kī hijratoñ meñ
ye būḌhe daraḳht aur ye vīrān āñgan