Ishrat Afreen

kaisa KHazana ye to zad-e-safar nahin rakhti

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
kaisā ḳhazāna ye to zād-e-safar nahīñ rakhtī
ḳhāna-ba-dosh mohabbat koī ghar nahīñ rakhtī
yādoñ ke bistar par terī ḳhushbū kāḌhūñ
is ke savā to aur maiñ koī hunar nahīñ rakhtī
koī bhī āvāz us kī aahaT nahīñ hotī
koī bhī ḳhushbū us kā paikar nahīñ rakhtī
maiñ jañgal huuñ aur apnī tanhā.ī par ḳhush
merī jaḌeñ zamīn meñ haiñ koī Dar nahīñ rakhtī
vo jo lauT bhī aayā to kyā daan karūñgī
maiñ to us ke naam kā ik zevar nahīñ rakhtī
'mīrā' maañ mirī aag ko koī gun nahīñ aayā
us mūrat ko raam karūñ ye hunar nahīñ rakhtī
Top Urdushayar.com