Ishrat Afreen

wahshat si wahshat hoti hai

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
vahshat sī vahshat hotī hai
zinda huuñ hairat hotī hai
jal bujhne vāloñ se pūchho
ġham kī kyā hiddat hotī hai
rehn na rakh denā bīnā.ī
is kī bhī muddat hotī hai
saare qarz chukā dene kī
kabhī kabhī ujlat hotī hai
dil aur jaan ke saude jo haiñ
in meñ kab hujjat hotī hai
ḳhud se jhuuT kahāñ tak boleñ
thoḌī sī ḳhiffat hotī hai
apne aap se milne meñ bhī
ab kitnī diqqat hotī hai
ḳhud se bāteñ karne kī bhī
ab kis ko fursat hotī hai
kuchh kah lo rūkhī-sūkhī meñ
apne haañ barakat hotī hai
sonā sī miTTī ke ghar meñ
kab ham se mehnat hotī hai
dhaan hamāre chiḌiyā khā.eñ
chiḌiyoñ ko aadat hot hotī hai
bachchoñ se kyā shikva karnā
miTTī meñ ulfat hotī hai
sabz kivāḌoñ kī jhurriyoñ meñ
jugnū yā hairat hotī hai
TaaT ke maT-maile pardoñ meñ
kyā ujlī rañgat hotī hai
phaTī purānī sī chunarī meñ
kyā bholī sūrat hotī hai
chāval kī piilī roTī meñ
kyā soñdhī lazzat hotī hai
rulī ke ek ik Tāñke meñ
poroñ kī chāhat hotī hai
jaaḌe oḌh ke so jaane meñ
kab koī zahmat hotī hai
shaam ko terā hañs kar milnā
din bhar kī ujrat hotī hai
Top Urdushayar.com