vo jin ko umar bhar suhāg kī duā.eñ dī ga.iiñ
sunā hai apnī chūḌiyāñ hī piis piis pī ga.iiñ
bahut hai ye rivāyatoñ kā zahr saarī umar ko
jo talḳhiyāñ hamāre āñchaloñ meñ bāñdh dī ga.iiñ
kabhī na aisī fasl mere gaañv meñ huī ki jab
kusum ke badle chunariyāñ gulāb se rañgī ga.iiñ
vo jin ke pairahan kī ḳhushbueñ havā pe qarz thiiñ
rutoñ kī vo udaas shahzādiyāñ chalī ga.iiñ
in uñgliyoñ ko chūmnā bhī bid.ateñ shumār ho
vo jin se ḳhaak par numū kī āyateñ likhī ga.iiñ
saroñ kā ye lagān ab ke fasl kaun le gayā
ye kis kī khetiyāñ thiiñ aur kis ko sauñp dī ga.iiñ