Ishrat Afreen

is shahr-e-kaj-kulah ke aasar dekhna

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
is shahr-e-kaj-kulāh ke āsār dekhnā
aur ḳhud ko be-ridā sar-e-bāzār dekhnā
vo mere bādbān kā khulnā havā ke saath
aur muḌ ke terā jānib-e-rahvār dekhnā
āshob-e-ḳhisht-o-ḳhāk se jī ko amaañ kahāñ
phir us pe rañg-e-shīsha-e-pindār dekhnā
ab ke lagān kaun uThāne ko aa.egā
ab ke saroñ kī fasl hai tayyār dekhnā
masnad-nashīn-e-shahr-e-ḳharābāt kaun ho
kis se sambhal sakegī ye dastār dekhnā
gah is fasīl-e-yād kī qindīl par nigāh
gah asp-e-harf-o-ḳhvāb kī raftār dekhnā
jis meñ ġharīb-e-shahr kī beTī chunī ga.ī
ai mere shahr-e-yār vo dīvār dekhnā
Top Urdushayar.com