ye nāzuk sī mire andar kī laḌkī
ajab jazbe ajab tevar kī laḌkī
yūñhī zaḳhmī nahīñ haiñ haath mere
tarāshī maiñ ne ik patthar kī laḌkī
khaḌī hai fikr ke āzar-kade meñ
burīda-dast phir aazar kī laḌkī
anā khoī to kuḌh kar mar ga.ī vo
baḌī hassās thī andar kī laḌkī
sazāvār-e-hunar mujh ko na Thahrā
ye fan merā na maiñ aazar kī laḌkī
bikhar kar shīsha shīsha reza reza
simaT kar phuul se paikar kī laḌkī
havelī ke makīñ to chāhte the
ki ghar hī meñ rahe ye ghar kī laḌkī