taaq meñ kaun rakh gayā ek diyā aur ek phuul
dhyān meñ phir se jal uThā ek diyā aur ek phuul
mere tumhāre darmiyāñ qatra-e-ashk rā.egāñ
pichhlī rutoñ kā sāneha ek diyā aur ek phuul
ḳhvāb hī ḳhvāb meñ kaTī umr tamām jal bujhī
terā kahā mirā sunā ek diyā aur ek phuul
shām-e-firāq kī qasam aur to kuchh na paas thā
tere liye bachā liyā ek diyā aur ek phuul
bām-e-murād tak mire haath na jā sake magar
der talak jalā kiyā ek diyā aur ek phuul
terī udaas aañkh se mere ḳhamosh hoñT tak
harf-e-visāl kyā huā ek diyā aur ek phuul
jashn kī raat jab tire naam pe log chup se the
maiñ ne yūñhī uThā liyā ek diyā aur ek phuul