kab tak phirnā ġhāroñ aur guphāoñ meñ
aao vāpas lauT chaleñ ab gaañv meñ
sahrā meñ ik ret-mahal ta.amīr kareñ
sukh se baiTheñ añgūroñ kī chhāñv meñ
ruuh bhaTaktī hai bāġhī shahzādī kī
sunte haiñ in ḳhālī mahl-sarāoñ meñ
mujh meñ chhaTī his jaagī taaza miTTī kī
tuġhyānī hai phir pāñchoñ dariyāoñ meñ
gayyā to sardār ke baaġh meñ qatl huī
charvāhā sotā hai niim kī chhāñv meñ
ek ne beTī ek ne beTā janm diyā
kitnā farq hai ham donoñ kī maaoñ meñ