Ishrat Afreen

ye nahin gham ki main paband-e-gham-e-dauran thi

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
ye nahīñ ġham ki maiñ pāband-e-ġham-e-daurāñ thī
rañj ye hai ki mirī zaat mirā zindāñ thī
sub.h se aa.ina chhūte hue Dar lagtā hai
raat hī ḳhvāb meñ dekhā thā ki maañg afshāñ thī
sūkhtī jaatī hai ab Dhaltī huī umr ke saath
baaḌh mehñdī kī jo darvāze pe apne haañ thī
sham.eñ aur saa.e se dekhe ga.e tūfān kī raat
us havelī meñ jo muddat se bahut vīrāñ thī
ḳhaak meñ khel ke sab nashv-o-numā paa.ī hai
bint-e-iflās huuñ maiñ bhuuk to merī maañ thī
paḌh rahā thā vo kisī aur ke āñchal pe namāz
maiñ bas ā.īna-o-qur.ān liye hairāñ thī
Top Urdushayar.com