Ishrat Afreen

ye jang wo hai ki ab KHud bhi haarna chahun

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
ye jañg vo hai ki ab ḳhud bhī hārnā chāhūñ
magar maiñ is ke liye bhī tirī razā chāhūñ
mire ġhulām mire ā.īne uThā laanā
ki maiñ is aag ko paanī meñ dekhnā chāhūñ
maiñ shāḳh shāḳh tirī nik.hateñ fuzūñ dekhūñ
maiñ taaq taaq tirī raushnī savā chāhūñ
aTā huā tirī ḳhushbū se pairahan rakhkhūñ
bhare hue tire rañgoñ meñ dast o pā chāhūñ
tamām shahr ḳhamoshī kī niiñd soyā hai
maiñ aise vaqt meñ ik ḳhanjar-e-navā chāhūñ
jo ḳhema-gāh se niklūñ to qatl-gāh talak
paTā huā tire a.azā se rāsta chāhūñ
maiñ ahd-nāma-e-tanhā.ī lene aa.ī huuñ
fasīl-e-hijr kā ik ek baab vā chāhūñ
mirī ridā.eñ kanīzoñ meñ baañT diiñ jis ne
ḳharāj-e-sāya-e-dīvār us se kyā chāhūñ
Top Urdushayar.com