adāvateñ nasīb ho ke rah ga.iiñ
mohabbateñ raqīb ho ke rah ga.iiñ
parind haiñ na āñganoñ meñ peḌ haiñ
ye bastiyāñ ajiib ho ke rah ga.iiñ
taras rahī haiñ yuuñ bahār ko ruteñ
ġharīb kā nasīb ho ke rah ga.iiñ
bas ek pal dhanak kī saarī shoḳhiyāñ
mire bahut qarīb ho ke rah ga.iiñ
mire dukhoñ kā zikr shahr shahr hai
udāsiyāñ naqīb ho ke rah ga.iiñ
maiñ ḳhud se jab bichhaḌ ga.ī to bas tirī
duā.eñ hī habīb ho ke rah ga.iiñ
rivāyatoñ kī qatl-gāh-e-ishq meñ
ye laḌkiyāñ salīb ho ke rah ga.iiñ