tum se bhī bātchīt ho dil se bhī guftugū rahe
ḳhvāb o ḳhabar kā silsila yūñhī kabhū kabhū rahe
dard bhī haath thaam le zaḳhm bhī bolne lageñ
ya.anī nihāl-e-shāḳh-e-ġham aise hī bā-numū rahe
ishq meñ ehtiyāt hī goyā hai pās-e-vaz-e-ishq
chaak hoñ sad-hazār aur dāman-e-dil rafū rahe
tū jo nahīñ to maiñ nahīñ maiñ jo nahīñ to tū kahāñ
donoñ tarah thī baat ek maiñ rahūñ yā ki tū rahe
aur matā-e-jān-o-dil kuchh bhī na mujh ko chāhiye
siine meñ ik charāġh sā aañkh meñ ik lahū rahe
ek charāġh hañs paḌā taaq meñ ehtiyāt se
aur havā sahm ga.ī phuul kī aabrū rahe
ek lakīr ro paḌī donoñ hatheliyoñ ke biich
rañg-e-hinā chhupā gayā haath lahū lahū rahe