titliyāñ ḳhushbueñ rañg sab
khā ga.ī ik balā jañg sab
khiḌkiyāñ chāñd mukhḌe hañsī
chhuT ga.e kitne farsañg sab
ḳhvāb umreñ galī rāste
zindagī se haiñ dil tañg sab
go bahut iḳhtilāfāt the
phir bhī rahte to the sañg sab
ghar se ghabrā.e phirte haiñ jo
ye na jiine ke haiñ Dhañg sab
dopahar niiñd yādeñ parind
phir se karne lage tañg sab
ye alag guftugū kam kareñ
ham ko aate to haiñ Dhañg sab
harf aañsū ḳhamoshī suḳhan
us kī yādoñ ke haiñ rañg sab
yuuñ achānak bharī bazm se
tum uThe rah ga.e dañg sab