Ishrat Afreen

apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
apnī aag ko zinda rakhnā kitnā mushkil hai
patthar biich ā.īna rakhnā kitnā mushkil hai
kitnā āsāñ hai tasvīr banānā auroñ kī
ḳhud ko pas-e-ā.īna rakhnā kitnā mushkil hai
āñgan se dahlīz talak jab rishta sadiyoñ kā
jogī tujh ko Thahrā rakhnā kitnā mushkil hai
dopahroñ ke zard kivāḌoñ kī zanjīr se pūchh
yādoñ ko āvāra rakhnā kitnā mushkil hai
chullū meñ ho dard kā dariyā dhyān meñ us ke hoñT
yuuñ bhī ḳhud ko pyāsā rakhnā kitnā mushkil hai
tum ne ma.abad dekhe hoñge ye āñgan hai yahāñ
ek charāġh bhī jaltā rakhnā kitnā mushkil hai
daasī jaane TūTe-phūTe gītoñ kā ye daan
samay ke charnoñ meñ lā rakhnā kitnā mushkil hai
Top Urdushayar.com