tamām ajnabī chehre saje haiñ chāroñ taraf
mirī bahisht meñ kāñTe uge haiñ chāroñ taraf
lahū meñ Duube hue dā.ere haiñ chāroñ taraf
maiñ kaise jā.ūñ kahīñ hādse haiñ chāroñ taraf
kitāb dard kī paḌh kar sunā rahī hai hayāt
aur āñsuoñ ke farishte khaḌe haiñ chāroñ taraf
chalo ye ḳhuub huā aa.ina jo TuuT gayā
ab aks mere hī bikhre hue haiñ chāroñ taraf
tirā ḳhayāl jab aayā dukhoñ ke sahrā meñ
mujhe kuchh aisā lagā gul khile haiñ chāroñ taraf
kabhī nadī ke badan par kabhī fazāoñ meñ
havā ne mere qasīde likhe haiñ chāroñ taraf
na merī āñkhoñ meñ nīndeñ na ḳhvāb kī pariyāñ
firāq azal se yahāñ ratjage haiñ chāroñ taraf