Firaq Jalalpuri

baDa ghurur hai pal bhar ki nek-nami ka

Firaq Jalalpuri

baḌā ġhurūr hai pal bhar kī nek-nāmī kā
rivāj aam hai is daur meñ ġhulāmī kā
amīr-e-shahr ne dastār chhīn lī us kī
sila ajiib diyā roz kī salāmī kā
lab-e-furāt rahe pyāse vāris-e-zamzam
shikār akelā nahīñ maiñ hī tishna-kāmī kā
basārat aisī basīrat navāz de allāh
hameñ sujhā.ī de nukta hamārī ḳhāmī kā
kabhī to aa.ina chehre ke rū-ba-rū aa.e
kabhī to lamha mayassar ho ḳhud-kalāmī kā
'firāq' ho ga.e patthar hamāre donoñ paañv
baḌā thā naaz hameñ apnī tez-gāmī kā
Top Urdushayar.com