abhī niklo na ghar se tañg aa ke
abhī achchhe nahīñ tevar havā ke
falak se maiñ chalā shabnam kī sūrat
zamīñ ne rakh diyā patthar banā ke
mire zaḳhmī laboñ par kuchh nahīñ hai
sivā.e ek lafz-e-be-navā ke
hamārī ḳhāmushī ne laaj rakh lī
nahīñ to haath kaT jaa.e sadā ke
badan ḳhushbū kā larzāñ ḳhauf se hai
havā ko rāz-e-dil apnā sunā ke
saroñ ke diip haiñ nezoñ pe raushan
maiñ kaise dekhūñ manzar karbalā ke
tumhāre qatl kī ḳhabreñ chhapī haiñ
'firāq' aḳhbār to dekho uThā ke