Inder Saraazi

rote hain jab bhi hum december mein

Inder Saraazi

Doda, Jammu and Kashmir, India

1990
rote haiñ jab bhī ham december meñ
jam se jaate haiñ ġham december meñ
jo hameñ bhuul hī gayā thā use
yaad aa.e haiñ ham december meñ
saare shikve-gile bhulā ke ab
lauT aa ai sanam december meñ
kis kā ġham khaa.e jā rahā hai tumheñ
aañkh kyuuñ hai ye nam december meñ
yaad aatā hai vo bichhaḌnā jab
ḳhuub ro.e the ham december meñ
vahī pal hai vahī hai shām-e-hazīñ
aaj phir bichhḌe ham december meñ
bas yahī ik tamannā hai 'indar'
kaash mil jaa.eñ ham december meñ
Top Urdushayar.com