ye soch ke raakh ho gayā huuñ
maiñ shaam se sub.h tak jalā huuñ
jis dil meñ panāh DhūñDhtā thā
ab us se panāh māñgtā huuñ
pahle bhī ḳhudā ko māntā thā
aur ab bhī ḳhudā ko māntā huuñ
vo jaag rahā ho shāyad ab tak
ye soch ke maiñ bhī jāgtā huuñ
ai merā ḳhayāl rakhne vaale
kyā maiñ tire zehn meñ basā huuñ
martā huuñ ki mar-miTūñgā āḳhir
jiine ko to umr-bhar jiyā huuñ
har shaḳhs bichhaḌ chukā hai mujh se
kyā jāniye kis ko DhūñDhtā huuñ
hai mujh se hī zindagī ibārat
maiñ ziist kā talḳh tajraba huuñ
kyā samjhegā koī mujh ko 'sābir'
maiñ zaat se apnī māvarā huuñ