Farhan Salim

aks kuchh na badlega aainon ko dhone se

Farhan Salim

Rampur, Uttar pradesh, India

aks kuchh na badlegā ā.inoñ ko dhone se
āzarī nahīñ aatī pattharoñ pe rone se
mas.ala na suljhegā pyaas bujh na pā.egī
be-hisī ke sāġhar meñ aap ko Dubone se
toḌ do hadeñ saarī ye bhī tajraba kar lo
zaat aur simTegī be-hijāb hone se
lab pe zom-e-mai-ḳhvārī aur qadam bahakte haiñ
sirf kāsa-e-mai meñ uñgliyāñ Dubone se
har sadaf ke siine meñ gir rahā hai ik motī
dard-o-ġham ke māroñ kī kashtiyāñ Dubone se
zaḳhm roz ik taaza de diyā karo varna
be-dilī sī rahtī hai dard ke na hone se
har lahū fuġhāñ degā har diyā dhuāñ degā
daaġh miT nahīñ sakte dāmanoñ ko dhone se
kaun sī vo ātish thī mere ḳhuun meñ 'sālim'
haath jal ga.e us ke uñgliyāñ Dubone se
Top Urdushayar.com