kitnī ta.abīroñ ke muñh utre paḌe haiñ
ḳhvāb ab tak haath phailā.e khaḌe haiñ
raah meñ jo miil ke patthar gaḌe haiñ
rahnumāoñ kī tarah shashdar khaḌe haiñ
koī apne aap tak pahuñche to kaise
āgahī ke kos bhī kitne kaḌe haiñ
zindagī ham tujh se bhī laḌ kar jiyeñge
ham jo ḳhud apne hī saa.e se laḌe haiñ
dosto sar par bhī aa jaatā hai sūraj
dhuup kam hai is liye saa.e baḌe haiñ
ham ko bhī kuchh vaqt de ai jān-e-mahfil
ham ne bhī do ek afsāne gaḌhe haiñ