Zaka Siddiqui

KHamoshi KHud apni sada ho ye bhi to ho sakta hai

Zaka Siddiqui

ḳhāmoshī ḳhud apnī sadā ho ye bhī to ho saktā hai
sannāTā hī guuñj rahā ho ye bhī to ho saktā hai
merā maazī mujh se bichhaḌ kar kyā jaane kis haal meñ hai
merī tarah vo bhī tanhā ho ye bhī to ho saktā hai
sahrā sahrā kab tak maiñ DhūñDūñ ulfat kā ik aalam
aalam aalam ik sahrā ho ye bhī to ho saktā hai
ahl-e-tūfāñ soch rahe haiñ sāhil Duubā jaatā hai
ḳhud un kā dil Duub rahā ho ye bhī to ho saktā hai
in madh-mātī āñkhoñ par ye jhuum ke aanā zulfoñ kā
bāda-kashoñ ko aam salā ho ye bhī to ho saktā hai
yaaro merā kyā hai kaf-e-qātil kī ra.anā.ī dekho
ḳhuun hī kyuuñ ho rañg-e-hinā ho ye bhī to ho saktā hai
saarī mahfil meñ ik tum se us ko taġhāful kyuuñ hai 'zakā'
koī ḳhaas andāz-e-vafā ho ye bhī to ho saktā hai
Top Urdushayar.com