vahshat meñ har ik naqsha ulTā nazar aatā hai
majnūñ nazar aatī hai lailā nazar aatā hai
ai murġh-e-sahar kukḌūñkūñ bol kahīñ jaldī
tū bhī shab-e-furqat meñ gūñgā nazar aatā hai
dāḌhī ko tirī vaa.iz sab dekh ke kahte haiñ
vo qasr-e-taqaddus kā chhajjā nazar aatā hai
baaz aa.e mohabbat se ai ishq ḳhudā-hāfiz
ulfat meñ jise dekho andhā nazar aatā hai
kuchh tujh ko ḳhabar bhī hai dekh aa.ine meñ sūrat
o tirchhī nazar vaale bhīñgā nazar aatā hai
svārāj ke chakkar meñ rahte the jo sargardāñ
un logoñ ko ab ḳhālī charḳhā nazar aatā hai