Zareef Lakhnavi

mahsharistan-e-junun mein dil-e-nakaam aaya

Zareef Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1870-1937
mahsharistān-e-junūñ meñ dil-e-nākām aayā
naala hañgāma-navāzī pe sar-e-shām aayā
mehr az-rū-e-muallā jo lab-e-bām aayā
dekhiye dekhiye ab dhuup ga.ī ghaam aayā
barq kī sho.ala-navāzī sabab-e-tūl-e-hayāt
fitrat-e-maut tirī ziist kā hañgām aayā
muntashir ho ga.e jis vaqt sab ajzā-e-hayāt
qatra dariyā meñ ba-andāza-e-anjām aayā
tausan-e-umr-e-gurezāñ kī subuk-raftārī
kaam detī nahīñ jab maut kā paiġhām aayā
markaz-e-rūh ye hai kashmakash-e-maut-o-hayāt
phir bhī vāraftagī-e-shauq pe ilzām aayā
maiñ vo āsūda-e-soz-e-ḳhalish-e-mizhgāñ huuñ
jis ko rāh-e-talab-e-shauq meñ ārām aayā
tuur se ik kashish-e-mashq thī sūrat-gar-e-shauq
tujh par ai vādī-e-aiman abas ilzām aayā
sard-mehrī se kisī ko jo huī hājat-e-ġhusl
garm-joshī ko baġhal meñ liye hammām aayā
zulf ke jaal meñ ma.ashūq kā sar hai ḳhud bhī
qaidiyoñ muzhda ki sayyād tah-e-dām aayā
qabr se rāsta sīdhā hai ḳhudā ke ghar kā
jo udhar jaane lagā bāñdh ke ehrām aayā
hai agar naam isī kā adbiyāt-e-latīf
to 'zarīf' is ko kaheñ kyā jise ye kaam aayā
Top Urdushayar.com