majnūñ kā jo ai lailā juutā na phaTā hotā
pīchhe tire naaqe ke kyuuñ barahna-pā hotā
be-fā.eda ġhul machtā kyā jāniye kyā hotā
gar un kī galī hotī aur merā galā hotā
hotā agar aadam kā duniyā meñ koī bhaa.ī
nasl-e-banī-ādam kā vallāh chachā hotā
gar qais kī vahshat kā kuchh uuñT asar letā
lailā ko girā detā aur bhaag khaḌā hotā
muflis se ziyāda-tar mun.im hī gursana haiñ
kyuuñ roz havā khāte gar peT bharā hotā
vo ban ke masīhā bhī achchhā jo na kar sakte
bīmār tire haq meñ ye aur burā hotā
mādūm dahan hotā mafqūd kamar hotī
ma.ashūq 'zarīf' aisā hotā bhī to kyā hotā