Zareef Lakhnavi

qais kahta tha yahi fikr hai din-raat mujhe

Zareef Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1870-1937
qais kahtā thā yahī fikr hai din-rāt mujhe
maar de nāqa-e-lailā na kahīñ laat mujhe
ruḳh-e-raushan pe fidā aur na siyah-zulf kā ḳhabt
na koī din hai mujhe aur na koī raat mujhe
maktab-e-ishq meñ baiThā huā hal kartā huuñ
jaise algebra ke milte haiñ savālāt mujhe
botaleñ bechte naḳhḳhās meñ dekhā us ko
kis jagah jā ke milā pīr-e-ḳharābāt mujhe
ġhusl-ḳhāne meñ ye ġhassāl se murda bolā
jail hai qabr to ye ghar hai havālāt mujhe
rishta-e-umr hai kam aur mirī rassī hai darāz
aa.ī charḳhe se ye āvāz na tū kaat mujhe
na.ī tahzīb ne ma.ashūq kā fashion badlā
card bhejūñ to mayassar ho mulāqāt mujhe
dard-e-dil ishq meñ hai kaahe se sekūñ maiñ 'zarīf'
na falālīn hī miltī hai na bānāt mujhe
Top Urdushayar.com