Zareef Lakhnavi

karenge sab ye dawa naqd-e-dil jo haar baiThe hain

Zareef Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1870-1937

kareñge sab ye da.avā naqd-e-dil jo haar baiThe haiñ

ḳhafīfa meñ tumhāre āshiq-e-nādār baiThe haiñ

ajab kyā āshiqoñ ko dil meñ ye ma.ashūq kahte hoñ

ye kyuuñ ghar gher kar merā ḳhudā maar baiThe haiñ

shab-e-furqat ik dariyā-e-ġham hai beach meñ haa.il

jo maiñ is paar baiThā huuñ to vo us paar baiThe haiñ

koī hai ittilā.a is vaqt kar de ke thāne par

vo mere qatl par khīñche hue talvār baiThe haiñ

safedī ḳhāna-e-dil meñ siyah-kāroñ ke phereñge

nahīñ mimbar pe vaa.iz paaḌ par me.amār baiThe haiñ

pakaḌ kar kaan apnā dars-gāh-e-ishq meñ āshiq

hazāroñ baar uTThe haiñ hazāroñ baar baiThe haiñ

kahā karte the vālid qais ke fart-e-mohabbat meñ

nahīñ ma.alūm kis jañgal meñ bar-ḳhurdār baiThe haiñ

'zarīf' ab fā.eda kyā shā.iroñ ko sardī khāne se

ġhazal ham paḌh chuke ghar jaa.eñ kyuuñ be-kār baiThe haiñ

Top Urdushayar.com