vo ho kaisā hī dublā taar bistar ho nahīñ saktā
ġhalat hai aadmī is tarah lāġhar ho nahīñ saktā
kabhī aañsū kā qatra misl-e-gauhar ho nahīñ saktā
ġhalat hai abr-e-naisāñ dīda-e-tar ho nahīñ saktā
miyāñ majnūñ hoñ chāhe kohkan ho donoñ ḳhabtī the
kisī kā kuchh bhī un se ḳhaak patthar ho nahīñ saktā
kamar jis ke na ho vo baar se kyuuñ kar chalegā phir
ḳhilāf-e-aql hai ye is tarah par ho nahīñ saktā
kaho phir ye kamar moTī hai sar chhoTā hai dilbar kā
nahīñ to phir qad-e-jānāñ sanobar ho nahīñ saktā
vo ḳhatt-e-shauq ke jitne pulande chāhe le jaa.e
mulāzim Dāk-ḳhāne meñ kabūtar ho nahīñ saktā
'zarīf' ā.īna de kar Darvin-sāhab ko samjhā do
na ho jab tak sharīr insān bandar ho nahīñ saktā